Hain ShaKH ShaKH Pareshan Tamam Ghar Mere

hain shaKH shaKH pareshan tamam ghar mere

kaTe paDe hain baDi dur tak shajar mere

charagh in pe jale the bahut hawa ke KHilaf

bujhe bujhe hain jabhi aaj baam-o-dar mere

hazaron sal ki tariKH likkhi jaegi

zamin ke batn se ubhrenge jab khanDar mere

ye dekhna hai ki ab haar manta hai kaun

udhar hai wusat-e-imkan idhar hain par mere

main apni zat ki tabir ki talash mein tha

to mere KHwab chale ban ke ham-safar mere

suragh-e-mausam-e-gul ke amin ki surat

khile hue hain KHizan mein bhi zaKHm-e-sar mere

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain ShaKH ShaKH Pareshan Tamam Ghar Mere In English By Famous Poet Ahmad Sagheer Siddiqui. Hain ShaKH ShaKH Pareshan Tamam Ghar Mere is written by Ahmad Sagheer Siddiqui. Read famous Poem Hain ShaKH ShaKH Pareshan Tamam Ghar Mere for youth and Student by Ahmad Sagheer Siddiqui. Free Download Hain ShaKH ShaKH Pareshan Tamam Ghar Mere in PDF.