Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye

saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye

pata nahin dar-e-zindan khula hai kis ke liye

surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal

ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye

faqat shunid hai ab tak jo did ho to bataen

bahaar-e-sabza-o-raqs-e-saba hai kis ke liye

nahin jo apne liye bawajud zauq-e-nazar

sahifa-e-ruKH-o-rang-e-hina hai kis ke liye

miTa sake na agar tishna-kaamiyan meri

kaho ki KHubi-e-ab-o-hawa hai kis ke liye

tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaz

ye meri fikr ye meri nawa hai kis ke liye

ye ek sawal hai shikwa nahin gila bhi nahin

mere KHuda tera lutf-o-ata hai kis ke liye

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Saza Hai Kis Ke Liye Aur Jaza Hai Kis Ke Liye in PDF.