Bedad-e-taghaful Se To BaDhta Nahin Gham Aur

bedad-e-taghaful se to baDhta nahin gham aur

mere liye sikho koi andaz-e-sitam aur

maghmum to donon hain magar farq hai itna

un ko koi gham aur hai mujh ko koi gham aur

zahir mein jafaon pe wo sharminda hain lekin

nazren yahi kahti hain abhi honge sitam aur

har baat mein karte ho jo tafriq man-o-tu

is ka to ye matlab hua tum aur ho hum aur

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bedad-e-taghaful Se To BaDhta Nahin Gham Aur In English By Famous Poet Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Bedad-e-taghaful Se To BaDhta Nahin Gham Aur is written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Read famous Poem Bedad-e-taghaful Se To BaDhta Nahin Gham Aur for youth and Student by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Free Download Bedad-e-taghaful Se To BaDhta Nahin Gham Aur in PDF.