Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao

itna bhi nahin karte inkar chale aao

sau bar bulaya hai ek bar chale aao

hon fasle naqshon ke ya farq hon shahron ke

dil se to nahin duri sarkar chale aao

ek muntazir-e-wada bedar to hai kab se

ho jae muqaddar bhi bedar chale aao

andesha-e-ruswai kyun rah mein hail ho

kar lenge zamane ko hamwar chale aao

ta-chand wahi ranjish lillah idhar dekho

lo jurm ka karte hain iqrar chale aao

be-kaifi-e-mausam ka ye uzr hai be-mani

lag jaenge phulon ke ambar chale aao

is aabla-pai mein KHaron ki shikayat kya

kuchh KHar bhi hain aaKHir haqdar chale aao

jab chal hi paDe 'aKHgar' phir fikr koi kaisi

jis tarah bane ab to sarkar chale aao

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao In English By Famous Poet Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao is written by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Read famous Poem Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao for youth and Student by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi. Free Download Itna Bhi Nahin Karte Inkar Chale Aao in PDF.