Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho

laga ke aag bujhane ki baat karte ho

phaphule dil mein sajaane ki baat karte ho

nahin samajhte meri haalat-e-darun ko tum

faqat jo karte bahane ki baat karte ho

sunaun main jo kabhi haal apni ulfat ka

subut mujh se dikhane ki baat karte ho

guzar kar main yahan aaya hun shab-e-zulmat

karam na kar ke jalane ki baat karte ho

jo puchhta hun kabhi be-ruKHi ki main illat

bana ke baat banane ki baat karte ho

kabhi sitam pe jo bharta hun aah tab bhi to

mere lahu mein nahane ki baat karte ho

tere huzur mein aaya jo aahan-e-be-bas

pinha ke beDi na jaane ki baat karte ho

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Laga Ke Aag Bujhane Ki Baat Karte Ho in PDF.