Mein Mahfil-e-hayat Mein Hairan Sa Raha

mein mahfil-e-hayat mein hairan sa raha

har ek ki nigah mein anjaan sa raha

kuchh kar saka na sham talak rah-e-shauq mein

har pal har ek gam pe be-jaan sa raha

palken uTha ke dekh saka main na ek bar

mera KHirad junun ka nigahban sa raha

rah-e-hayat mein na mili ek pal KHushi

gham ka ye bojh dosh pe saman sa raha

bu-e-gul-o-saman ki tarah is jahan mein

'ahan' tamam umr pareshan sa raha

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mein Mahfil-e-hayat Mein Hairan Sa Raha In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Mein Mahfil-e-hayat Mein Hairan Sa Raha is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Mein Mahfil-e-hayat Mein Hairan Sa Raha for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Mein Mahfil-e-hayat Mein Hairan Sa Raha in PDF.