Ye Tere Lams Ka Ehsas Jawan-tar Ho Jae

ye tere lams ka ehsas jawan-tar ho jae

ye tere qurb mein har sans jawan-tar ho jae

chah ek der se ek rah taka karti hai

aao pahle ki wahan ghas jawan-tar ho jae

hain kai chehre guzarte hue rah-e-dil se

dekhiye kaun sa almas jawan-tar ho jae

rasm-e-duniya ke salasil mein giraftari hai

mat Thaharna ki kahin phans jawan-tar ho jae

bazm-e-ulfat ki giraftari se kaise bach paen

kis ko malum ki kab aas jawan-tar ho jae

hum sanjoe hue rakkhe hain teri yaadon ko

waqt aae ki jo hai pas jawan-tar ho jae

us ki manzil ka pata kis ko mila hai ab tak

han wahi bedil-e-barlas jawan-tar ho jae

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tere Lams Ka Ehsas Jawan-tar Ho Jae In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Ye Tere Lams Ka Ehsas Jawan-tar Ho Jae is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Ye Tere Lams Ka Ehsas Jawan-tar Ho Jae for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Ye Tere Lams Ka Ehsas Jawan-tar Ho Jae in PDF.