Shab-e-zulmat

hijr ki raat guzarti hi nahin

kab talak bazm pe tariki rahe

kab talak shumi qismat ka gala

kab talak dard ke baDhne ki fughan

kab talak be-kasi ka shikwa rahe

kab talak bebasi ka nala rahe

kab talak hongi rawan haalaten ye

kab talak chhai rahen zulmaten ye

nur uThta hai magar kya kijiye

zulm ki kali ghaTa chaar-su hai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-zulmat In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Shab-e-zulmat is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Shab-e-zulmat for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Shab-e-zulmat in PDF.