CharKH Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi MiTTi Mein

charKH bhi chhu len to jaana hai isi miTTi mein

mustaqil apna Thikana hai isi miTTi mein

jin ke daman pe kabhi chand-sitare chamke

dafan un ka bhi fasana hai isi miTTi mein

be-amal hath lagae bhi to KHali jae

han jafa-kash ka KHazana hai isi miTTi mein

is tarah chal ki ye pamal na hone pae

be-KHabar aab hai dana hai isi miTTi mein

ham-watan KHak-e-watan kyun na ho pyari ki hamein

baad-az-marg bhi jaana hai isi miTTi mein

log kal kah ke tujhe yaad karenge 'aKHlaq'

shair-e-faKHr-e-zamana hai isi miTTi mein

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

CharKH Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi MiTTi Mein In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. CharKH Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi MiTTi Mein is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem CharKH Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi MiTTi Mein for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download CharKH Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi MiTTi Mein in PDF.