Koshish-e-paiham Ko Sai-e-raegan Kahte Raho

koshish-e-paiham ko sai-e-raegan kahte raho

hum chale ab tum hamari dastan kahte raho

guftani baaten sahi naguftani baaten sahi

chup na baiTho koi afsana yahan kahte raho

maslahat kya baat jo haq hi wo kah do barmala

lakh hon ahbab tum se bad-guman kahte raho

hum ki the aazad aazadi ki KHatir mar gae

jine walo tum qafas ko aashiyan kahte raho

sirf kahne se zamin kya aasman ho jaegi

kuchh nahin hoga zamin ko aasman kahte raho

rah kya manzil hai kaisi har haqiqat hai fareb

karwan ko bhi ghubar-e-karwan kahte raho

kyun karo 'aKHtar' ki baaten wo to ek diwana hai

tum to yaro apni apni dastan kahte raho

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koshish-e-paiham Ko Sai-e-raegan Kahte Raho In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Koshish-e-paiham Ko Sai-e-raegan Kahte Raho is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Koshish-e-paiham Ko Sai-e-raegan Kahte Raho for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Koshish-e-paiham Ko Sai-e-raegan Kahte Raho in PDF.