LuTao Jaan To Banti Hai Baat Kis Ne Kaha

luTao jaan to banti hai baat kis ne kaha

ye bazm-e-ishq mein raaz-e-hayat kis ne kaha

rah-e-talab mein sunata koi tarana-e-nau

yahan fasana-e-zat-o-sifat kis ne kaha

abhi sawabit-o-sayyar mein hai fasl bahut

simaT chuki hai bahut kaenat kis ne kaha

har ek choT pe khulti hai aankh insan ki

hain KHizr-e-rah-e-talab hadsat kis ne kaha

hum aasman ko zamin par utar lae magar

abhi nahin hai shuur-e-hayat kis ne kaha

hum apni dhun mein hain masruf kis taraf dekhen

hamein nahin hai gham-e-iltifat kis ne kaha

hamein sukun mayassar nahin magar 'aKHtar'

hamare daur ko daur-e-najat kis ne kaha

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LuTao Jaan To Banti Hai Baat Kis Ne Kaha In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. LuTao Jaan To Banti Hai Baat Kis Ne Kaha is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem LuTao Jaan To Banti Hai Baat Kis Ne Kaha for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download LuTao Jaan To Banti Hai Baat Kis Ne Kaha in PDF.