Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye

nazar se safha-e-alam pe KHunin dastan likhiye

qalam se kya hikayat-e-zamin-o-asman likhiye

miTa de jo faza ki tirgi mahaul ki pasti

koi aisa bhi sher ai shairan-e-KHush-bayan likhiye

bapa hain har jihat mein aatish-o-ahan ke hangame

kahan is daur mein jaur-o-jafa-e-mahwashan likhiye

KHatar-ha-e-rah-e-majnun ka qissa kyun bayan kijiye

nazar ko naqa-e-laila KHirad ko sarban likhiye

yahi hain yaadgar-e-ghuncha-o-gul is zamane mein

inhin sukhe hue kanTon se zikr-e-gulsitan likhiye

bayan karne ko hai tarz-e-tapak-e-dostan kafi

ab is duniya mein kya rang-e-ghurur-e-dushmanan likhiye

riwayat-e-kuhan mein dilkashi baqi nahin 'aKHtar'

nae andaz se tariKH-e-shahr-e-gul-ruKHan likhiye

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye in PDF.