Rahbar-e-tabl-o-nishan Aur Zara Tez Qadam
rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam
han mere azm-e-jawan aur zara tez qadam
is andhere se na ghabra ki zara aur aage
hai charaghan ka saman aur zara tez qadam
kahin mayus na hona jo nigahon se abhi
un ki mahfil hai nihan aur zara tez qadam
ye yaqin hai ki pahunch jaenge un tak ek din
chaliye be-wahm-o-guman aur zara tez qadam
bujh na jaen rah-e-hasti mein tamanna ke charagh
KHwaja-e-rah-rawan aur zara tez qadam
kis bulandi pe rawan tum ho zamin ke zarro
hain sitare nigaran aur zara tez qadam
mil hi jaega kahin shahr-e-nigaran 'aKHtar'
ai parastar-e-butan aur zara tez qadam
(681) Peoples Rate This