Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho

shairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho

dastanon ke ab unwan badal kar dekho

kyun ho taqlid-e-kalim aaj bhi ai dida-waro

didani ho koi jalwa to sambhal kar dekho

sham-o-parwana ka andaz naya hai ki nahin

zikr tha jis ka ab us bazm mein chal kar dekho

aur bhi ruKH nazar aaenge tajalli ke abhi

ruKH nigahon ke zara aur badal kar dekho

agle waqton ke fasane na sunao yaro

nae mahaul ke sanche mein bhi Dhal kar dekho

kal ke andaz bhi dilkash the ye taslim magar

aaj bhi shahr-e-nigaran mein nikal kar dekho

apne ahbab ki jaanib na uThao nazren

dekhna hai agar 'aKHtar' to sambhal kar dekho

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho In English By Famous Poet Akhtar Ansari Akbarabadi. Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho is written by Akhtar Ansari Akbarabadi. Read famous Poem Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho for youth and Student by Akhtar Ansari Akbarabadi. Free Download Shairo Hadd-e-qadamat Se Nikal Kar Dekho in PDF.