Aansuon Ke Tufan Mein Bijliyan Dabi Rakhna

aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna

sard sard aahon mein garmiyan dabi rakhna

kaifiyat gham-e-dil ki ho ayan na chehre se

parda-e-tabassum mein talKHiyan dabi rakhna

kaun sunne wala hai be-hison ki duniya mein

apne gham ki sine mein dastan dabi rakhna

kis qadar anokha hai shewa ahl-e-duniya ka

miThi miThi baaton mein talKHiyan dabi rakhna

KHub hai tumhaara bhi ye kalam-e-fan 'aKHtar'

sada sada sheron mein shoKHiyan dabi rakhna

(576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansuon Ke Tufan Mein Bijliyan Dabi Rakhna In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Aansuon Ke Tufan Mein Bijliyan Dabi Rakhna is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Aansuon Ke Tufan Mein Bijliyan Dabi Rakhna for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Aansuon Ke Tufan Mein Bijliyan Dabi Rakhna in PDF.