Mail-e-lutf Hai Aamada-e-be-dad Bhi Hai

mail-e-lutf hai aamada-e-be-dad bhi hai

wo sarapa-e-mohabbat sitam-ijad bhi hai

shab-e-tanhai bhi hai sath teri yaad bhi hai

dil ka kya haal kahun shad bhi nashad bhi hai

daulat-e-gham se har ek gosha hai is ka mamur

dil ki duniya meri aabaad bhi barbaad bhi hai

be-sabab to nahin ehsas KHalish ka mujh ko

bhulne wale tere dil mein meri yaad bhi hai

kyun na aasan ho rah-e-ishq ki mere ham-rah

jazba-e-'qais' bhi hai himmat-e-'farhad' bhi hai

jal gaya apna nasheman magar afsos ye hai

phunkne walon mein ek barq-e-chaman-zad bhi hai

mera wijdan muharrik hai mere naghmon ka

tab-e-mauzun meri paband bhi aazad bhi hai

kya bataun main tumhein kya hai nawa-e-'aKHtar'

naghme ka naghma hai fariyaad ki fariyaad bhi hai

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mail-e-lutf Hai Aamada-e-be-dad Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Mail-e-lutf Hai Aamada-e-be-dad Bhi Hai is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Mail-e-lutf Hai Aamada-e-be-dad Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Mail-e-lutf Hai Aamada-e-be-dad Bhi Hai in PDF.