Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge

nale mere jab tak mere kaam aate rahenge

ai zauq-e-nazar wo lab-e-baam aate rahenge

ai zauq-e-talab tu jo salamat hai to kya gham

lab tak mere KHud jam pe jam aate rahenge

dil zinda agar ho to phir ai zist ke talib

har gam pe jine ke payam aate rahenge

manzil ki tamanna hai to Thukra ke nikal ja

sayyaad liye dana-o-dam aate rahenge

kha jao na dhoka kahin manzil ke guman par

raste mein kuchh aise bhi maqam aate rahenge

'aKHtar' agar aabaad rahe gul-kada-e-dil!

phir is mein to kuchh mast KHiram aate rahenge

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge in PDF.