Ek Kahani

pahaDon se ghiri wadi mein, patthar se bani ek chaar-diwari

aur is diwar ke andar kai kamre

hazaron sal ki viraniyan oDhe khaDe hain

inhi viran kamron mein se ek kamra

jahan tin aadmi ek chaarpai par

KHud apne-ap se bahar nikal kar is tarah baiThe hue hain

jaise apne aap mein the hi nahin

wo tin hain

bas tin

aur chautha mujassama hai

jo bahar istada hai

har ek shai par andhere

aur andhere par sisakti KHamushi ka KHauf tari hai

magar wo tinon raushan hain

mukammal taur par raushan

na un par KHauf ka saya

na koi huzn ki parchhain

wo baaten kar rahe hain

aur hawa sakit khaDi hai

gosh-bar-awaz

lekin un ki baaten be-sada hain

na-gahan un tin mein se ek ki nazren hawa ki samt uThti hain

to wo ghabra ke phir se chalne lagti hai

hawa chalte hi un ki guftugu aawaz mein tabdil hoti hai

aur us ki tez lahren sehn ki jaanib lapakti hain

to ek saya sa lahraata hai

saya dekh kar un tin mein se ek

mare KHauf ke apne badan ko oDh leta hai

dusre din subh jab KHurshid ki kirnon ne darwaze pe dastak di

to kamre mein wo do the

aur

bahar do mujassame

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kahani In English By Famous Poet Akhtar Raza Saleemi. Ek Kahani is written by Akhtar Raza Saleemi. Read famous Poem Ek Kahani for youth and Student by Akhtar Raza Saleemi. Free Download Ek Kahani in PDF.