Jab MuKhaalif Mera Raaz-dan Ho Gaya

jab muKHalif mera raaz-dan ho gaya

raaz-e-sar-basta sab par ayan ho gaya

mujh ko ehsas-e-sharmindagi hai bahut

qissa-e-dard kaise bayan ho gaya

kitni hasrat se takti rahi har KHushi

aur daman mera dhajjiyan ho gaya

masala ban gai fikr tafhim ka

lafz ka husn bhi raegan ho gaya

log ye soch ke hi pareshan hain

main zamin tha to kyun aasman ho gaya

shikwa-sanjaan-e-tanhai hain sab ke sab

mera gham bhi gham-e-do-jahan ho gaya

peD kya mere aangan ka 'aKHtar' gira

log samjhe ki main be-aman ho gaya

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab MuKhaalif Mera Raaz-dan Ho Gaya In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Jab MuKhaalif Mera Raaz-dan Ho Gaya is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Jab MuKhaalif Mera Raaz-dan Ho Gaya for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Jab MuKhaalif Mera Raaz-dan Ho Gaya in PDF.