Qismat Mein Dard Hai To Dawa Hi Na Launga

qismat mein dard hai to dawa hi na launga

aaina-e-yaqin pe siyahi na launga

ya to mere bayan pe munsif yaqin kare

ya phir saza likhe main gawahi na launga

is daur-e-na-shanas mein kuchh bhi kahun magar

ab dastan mein zikr-e-wafa hi na launga

apnon se jang hai to bhale haar jaun main

lekin main apne sath sipahi na launga

dosh-e-karam pe bar hai jab harf-e-muddaa

phir main zaban pe harf-e-dua hi na launga

jab tum saf-e-adu mein chale jaoge to phir

dil mein malal-e-kor-nigahi na launga

maidan-e-kar-zar mein 'aKHtar' kabhi bhi main

KHauf-e-sinan-e-zill-e-ilahi na launga

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qismat Mein Dard Hai To Dawa Hi Na Launga In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Qismat Mein Dard Hai To Dawa Hi Na Launga is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Qismat Mein Dard Hai To Dawa Hi Na Launga for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Qismat Mein Dard Hai To Dawa Hi Na Launga in PDF.