Rah-e-wafa Mein Koi Hamein Jaanta Na Tha

rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

jab tak diya hamare lahu ka jala na tha

ye moajiza hamare hi tarz-e-bayan ka tha

us ne wo sun liya tha jo hum ne kaha na tha

jab aashiyane jal gae tab ham-nawa hue

gulshan mein is se pahle koi bolta na tha

tu KHud hi qatra qatra pighalta tha roz-o-shab

shamil tere zawal mein dast-e-dua na tha

shiddat ki dhup mein bhi na pighla mera wajud

mujh par tumhaari zulfon ka jab shamiyana tha

jugnu tha kahkashan tha sitara tha ya guhar

aansu kisi ki aankh se jab tak gira na tha

'aKHtar' gunah karne se phir rokta tha kaun

main kaise man lun ki wahan par KHuda na tha

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-wafa Mein Koi Hamein Jaanta Na Tha In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Rah-e-wafa Mein Koi Hamein Jaanta Na Tha is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Rah-e-wafa Mein Koi Hamein Jaanta Na Tha for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Rah-e-wafa Mein Koi Hamein Jaanta Na Tha in PDF.