Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain

wo kam-nasib jo ahd-e-jafa mein rahte hain

ajib mariz-e-karb-o-bala mein rahte hain

numud-e-zauq o bulugh-e-hunar ka zikr hi kya

yahan ye log to aah-o-buka mein rahte hain

wida-e-KHuld ke baad arsa-e-firaq mein hain

ba-qaid-e-jism dayar-e-fana mein rahte hain

wo subh o sham meri ruh mein hain jalwa-numa

dil-e-figar o alam-ashna mein rahte hain

hisar-e-zat mein mahbus ho ke ahl-e-hawas

fareb-e-hasil-e-be-muddaa mein rahte hain

bhula chuke hain zamin o zaman ke sab qisse

suKHan-taraaz hain lekin KHala mein rahte hain

amir-e-shahr ki sohbat ke faiz se 'aKHtar'

janab-e-shaiKH ab unchi hawa mein rahte hain

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain in PDF.