Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar

ek khiDki gali ki khuli raat bhar

muntazir jaane kis ki rahi raat bhar

hum jalate rahe apne dil ke diye

tirgi qatl hoti rahi raat bhar

meri aankhon ko kar ke ata ratjage

meri tanhai soti rahi raat bhar

ek KHushbu daraazon se chhanti hui

dastaken jaise deti rahi raat bhar

dil ke andar koi jaise chalta raha

chap qadmon ki aati rahi raat bhar

ek tahrir jo us ke hathon ki thi

baat wo mujh se karti rahi raat bhar

ek surat 'ali' thi jo jaan-e-ghazal

mere sheron mein Dhalti rahi raat bhar

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Ek KhiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar in PDF.