Roke Se Kahin Hadsa-e-waqt Ruka Hai

roke se kahin hadsa-e-waqt ruka hai

shoalon se bacha shahr to shabnam se jala hai

kamra kisi manus si KHushbu se basa hai

jaise koi uTh kar abhi bistar se gaya hai

ye baat alag hai ki main jita hun abhi tak

hone ko to sau bar mera qatl hua hai

phulon ne chura li hain mujhe dekh ke aankhen

kanTon ne baDi dur se pahchan liya hai

us samt abhi KHun ke pyase hain hazaron

is samt bas ek qatra-e-KHun aur bacha hai

rudad-e-charaghan to bahut KHub hai lekin

kya jaaniye kis kis ka lahu in mein jala hai

is rang-e-taghazzul pe 'ali' chhap hai meri

ye zauq-e-suKHan mujh ko wirasat mein mila hai

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roke Se Kahin Hadsa-e-waqt Ruka Hai In English By Famous Poet Ali Ahmad Jalili. Roke Se Kahin Hadsa-e-waqt Ruka Hai is written by Ali Ahmad Jalili. Read famous Poem Roke Se Kahin Hadsa-e-waqt Ruka Hai for youth and Student by Ali Ahmad Jalili. Free Download Roke Se Kahin Hadsa-e-waqt Ruka Hai in PDF.