Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun

main lauh-e-arz par nazil hua sahifa hun

dilon pe sabt hun peshaniyon pe likkha hun

purani rut mera muzhda suna ke jati hai

nai ruton ke jilau mein sada utarta hun

main kaun hun mujhe sab puchhne se Darte hain

main roz ek nae karb se guzarta hun

main ek zinda haqiqat hun kaun jhuTlae

jo honT band rahen aankh se chhalakta hun

khuli hawa mein jo aaun to rakh ban jaun

abhi main zer-e-zamin hun magar ubalta hun

kisi tarah to saweron ki aankh khul jae

main shahr shahr mein suraj uThae chalta hun

(2422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun in PDF.