Aankh Kuchh Be-sabab Hi Nam To Nahin

aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin

ye kahin aap ka karam to nahin

hum ne mana ki raushni kam hai

phir bhi ye subh sham-e-gham to nahin

ishq mein bandishen hazar sahi

bandish-e-dana-o-diram to nahin

tha kahan ishq ko saliqa-e-gham

wo nazar mail-e-karam to nahin

monis-e-shab rafiq-e-tanhai

dard-e-dil bhi kisi se kam to nahin

wo kahan aur kahan sitamgari

kuchh bhi kahte hon log hum to nahin

shikwe ki baat aur hai warna

lutf-e-paiham koi sitam to nahin

dekh ai qissa-go-e-ranj-e-firaq

nok-e-mizhgan-e-yar nam to nahin

un ke dil se sawal karta hai

ye tabassum sharik-e-gham to nahin

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Kuchh Be-sabab Hi Nam To Nahin In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Aankh Kuchh Be-sabab Hi Nam To Nahin is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Aankh Kuchh Be-sabab Hi Nam To Nahin for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Aankh Kuchh Be-sabab Hi Nam To Nahin in PDF.