Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke

aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila ke

nichi nigah uTThi fitne nae jaga ke

main rag chheDta hun ima-e-husn pa ke

dekho to meri jaanib ek bar muskura ke

duniya-e-maslahat ke ye band kya thamenge

baDh jaega zamana tufan nae uTha ke

jab chheDti hain un ko gumnam aarzuen

wo mujh ko dekhte hain meri nazar bacha ke

didar ki tamanna kal raat rakh rahi thi

KHwabon ki rah-guzar mein shamen jala jala ke

duri ne lakh jalwe taKHliq kar liye the

phir dur ho gae hum tere qarib aa ke

sham-e-firaq aisa mahsus ho raha hai

har ek shai ganwa di har ek shai ko pa ke

aai hai yaad jin ki tufan-e-dard ban ke

wo zaKHm main ne aksar khae hain muskura ke

meri nigah-e-gham mein shikwe hi sab nahin hain

ek bar idhar to dekho nichi nazar uTha ke

ye dushmani hai saqi ya dosti hai saqi

auron ko jam dena mujh ko dikha dikha ke

dil ke qarib shayad tufan uTh rahe hon

dekho to sher 'zaidi' ek roz gunguna ke

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke in PDF.