Ghair Puchhen Bhi To Hum Kya Apna Afsana Kahen

ghair puchhen bhi to hum kya apna afsana kahen

ab to hum wo hain jise apne bhi begana kahen

wo bhi waqt aaya ki dil mein ye KHayal aane laga

aaj un se hum gham-e-dauran ka afsana kahen

kya pukare jaenge hum aise diwane wahan

hosh-mandon ko bhi jis mahfil mein diwana kahen

shab ke aaKHir hote hote donon hi jab jal bujhe

kis ko samjhen sham-e-mahfil kis ko parwana kahen

aur kuchh kahna to gustaKHi hai shan-e-shaiKH mein

han magar na-waqif-e-adab-e-mai-KHana kahen

aaj tanhai mein phir aankhon se Tapka hai lahu

ji ke bahlane ko aao apna afsana kahen

un se raunaq qatl-gah ki un se garmi bazm ki

kahne wale ahl-e-dil ko lakh diwana kahen

hain baham mauj-e-sharab o sail-e-ashk o ju-e-KHun

laiq-e-sajda hai jis ko KHak-e-mai-KHana kahen

un ki is chin-e-jabin ka kuchh taqaza ho magar

kya gham-e-dil ki haqiqat ko bhi afsana kahen

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Puchhen Bhi To Hum Kya Apna Afsana Kahen In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Ghair Puchhen Bhi To Hum Kya Apna Afsana Kahen is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Ghair Puchhen Bhi To Hum Kya Apna Afsana Kahen for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Ghair Puchhen Bhi To Hum Kya Apna Afsana Kahen in PDF.