Hai KHamosh Aansuon Mein Bhi Nashat-e-kaamrani

hai KHamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani

koi sun raha hai shayad meri dukh bhari kahani

yahi thartharaate aansu yahi nichi nichi nazren

yahi un ki bhi nishani yahi apni bhi nishani

ye nizam-e-bazm-e-saqi kahin rah sakega baqi

ki KHushi to chand lamhe gham o dard jawedani

hain wajud-e-shai mein pinhan azal o abad ke rishte

yahan kuchh nahin do roza koi shai nahin hai fani

teri baat kya hai waiz mera dil wo hai ki jis ne

isi mai-kade mein aksar meri baat bhi na mani

pai-e-raf-e-bad-gumani main wafa barat raha tha

meri pai-ba-pai wafa se baDhi aur bad-gumani

mera mai-kada salamat ki har ek qaid uTha di

na to dair ki ghulami na haram ki pasbani

karun un se lakh shikwe magar un se shikwa karna

na tariqa-e-mohabbat na riwayat-e-jawani

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai KHamosh Aansuon Mein Bhi Nashat-e-kaamrani In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Hai KHamosh Aansuon Mein Bhi Nashat-e-kaamrani is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Hai KHamosh Aansuon Mein Bhi Nashat-e-kaamrani for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Hai KHamosh Aansuon Mein Bhi Nashat-e-kaamrani in PDF.