Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main

ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main

ek bayaban dar bayaban hai jidhar jata hun main

bazm-e-fikr o hosh ho ya mahfil-e-aish o nashat

har jagah se chand nishtar chand gham lata hun main

aa gai ai na-muradi wo bhi manzil aa gai

mujh ko kya samjhaenge wo un ko samjhata hun main

un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak

us mein apne aansuon ka soz bhi pata hun main

sham-e-tanhai bujha de jhilmilati shama bhi

in andheron mein hi aksar raushni pata hun main

himmat-afza hai har ek uftad rah-e-shauq ki

Thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main

un ke daman tak KHud apna hath bhi baDhta nahin

apna daman ho to har kanTe se uljhata hun main

shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rahbar

mujh pe KHud bhi khul nahin pata kidhar jata hun main

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main in PDF.