Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha

junun se rah-e-KHirad mein bhi kaam lena tha

har ek KHar se izn-e-KHiram lena tha

faraaz-e-dar pe daman kisi ka tham liya

junun-e-shauq ko bhi intiqam lena tha

hazar bar nataej se ho ke be-parwa

usi ka nam liya jis ka nam lena tha

ilaj-e-tishna-labi sahl tha magar saqi

jo dast-e-ghair mein hai kab wo jam lena tha

junun ki rah mein tadbir-e-sarKHushi ke liye

bas ek walwala-e-tez-gam lena tha

shikasta lakh thi kashti hazar tha tufan

KHayal mein koi daman to tham lena tha

nasim ek rawish tak pahunch ke tham si gai

ki na-shagufta kali ka payam lena tha

shab-e-firaq mein bhi kuchh diye chamakne lagen

nigah-e-shauq se itna to kaam lena tha

hazar bar teri bazm mein hua mahsus

liya jo ghair ne mujh ko wo jam lena tha

main ek jura-e-masti pe sulh kyun karta

mujhe to jam mein mah-e-tamam lena tha

ghazab hua ki in aankhon mein ashk bhar aae

nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha

kisi ne aag lagai ho koi mujrim ho

hamein to apne hi sar ittiham lena tha

nigah-e-shoKH yahi fath aur kuchh hoti

jo gir rahe the unhen baDh ke tham lena tha

ye bazm-e-KHas ka aish-e-do-roza kya hoga

gham-e-awam se aish-e-dawam lena tha

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha in PDF.