Masti-e-gam Bhi Thi Ghaflat-e-anjam Ke Sath

masti-e-gam bhi thi ghaflat-e-anjam ke sath

do ghaDi khel liye gardish-e-ayyam ke sath

tishna-lab rahne pe bhi sakh to thi shan to thi

waz-e-rindana gai ek talab-e-jam ke sath

jab se hangam-e-safar ashkon ke tare chamke

talKHiyan ho gain wabasta har ek sham ke sath

ab na wo shorish-e-raftar na wo josh-e-junun

hum kahan phans gae yaran-e-subuk-gam ke sath

uD chuki hain sitam-araon ki ninden aksar

aap suniye kabhi afsana ye aaram ke sath

is mein saqi ka bhi dar-parda ishaara to nahin

aaj kuchh rind bhi the waiz-e-badnam ke sath

ghair ki tarah mile ahl-e-haram ai 'zaidi'

mujh ko yak-go na aqidat jo thi asnam ke sath

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masti-e-gam Bhi Thi Ghaflat-e-anjam Ke Sath In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Masti-e-gam Bhi Thi Ghaflat-e-anjam Ke Sath is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Masti-e-gam Bhi Thi Ghaflat-e-anjam Ke Sath for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Masti-e-gam Bhi Thi Ghaflat-e-anjam Ke Sath in PDF.