Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya

zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya

naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabab kya

umr ka dil hai muzmahil zist hai dard-e-mustaqil

aise nizam-e-dahr mein waswasa-e-azab kya

naghma ba-lab hain kiyariyan raqs mein zarra-e-tapan

sun liya kisht-e-KHushk ne zamzama-e-sahab kya

chehra-e-shab damak uTha surKH shafaq jhalak uThi

waqt-e-tulu kah gaya jaane aaftab kya

rindon se baz-purs ki pir-e-mughan se dil-lagi

aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharab kya

shama thi lakh adh-jali bazm mein raushni to thi

warna gham-e-nashat mein raushni-e-gulab kya

ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin

kaun uThaega tujhe dekh raha hai KHwab kya

muddaton se KHalish jo thi jaise wo kam si ho chali

aaj mere sawal ka mil hi gaya jawab kya

han teri manzil-e-murad dur bahut hi dur hai

phir bhi har ek moD par dil mein ye iztirab kya

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya in PDF.