Bhulti Hui Yaad

tumhein jab yaad karta hun to ek miTti hui duniya

meri aankhon ke aaine mein pahron jhilmilati hai

kahin dam ghuT raha hai muskuraate surKH phulon ka

kahin kaliyon ke sine mein hawa ruk ruk ke aati hai

kahin kajla gae hain din ke chamkae hue zarre

kahin raaton ki hansti raushni gham mein nahati hai

wahi duniya jo kal tak dil ka daman tham leti thi

usi duniya ke har zarre mein ab be-iltifati hai

tamanna apni nakaami pe kanp uThti hai yun jaise

bagule mein koi sukhi si patti thartharaati hai

ghane kohre mein jaise Dhankte jate hon hare sabze

yun hi bite dinon ki shakl dhundli paDti jati hai

jawani ki andheri raat aadhi bhi nahin guzri

mohabbat ke diye ki lau abhi se thartharaati hai

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhulti Hui Yaad In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Bhulti Hui Yaad is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Bhulti Hui Yaad for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Bhulti Hui Yaad in PDF.