Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh

na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

uTha dawat o qalam aadmi ka chehra likh

hazar shor sameTe hue hai mera wajud

mere wajud ke sahra ko chashm-e-dariya likh

bina-e-mausam-e-gham-ha-e-zat hai duniya

ise tu rashk-e-iram likh ki shaKH-e-tuba likh

wo nur phaila wo phuTi koi kiran taza

tamam umr andhera hi tha na aisa likh

jo maut pi gaya ek jam-e-ambagin ki tarah

use tu maut ki manzil ka ek masiha likh

wo ajnabi to zara ajnabi nahin lagta

use to ghair na kah koi hai wo apna likh

bichhaD gaya hai to kya sath bhi to tha barson

'zahir' ruh o badan ka use tu rishta likh

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh In English By Famous Poet Ali Zaheer Lakhnavi. Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh is written by Ali Zaheer Lakhnavi. Read famous Poem Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh for youth and Student by Ali Zaheer Lakhnavi. Free Download Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh in PDF.