Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho

guzrenge tere daur se jo kuchh bhi haal ho

KHud kaun chahta hai ki jina muhaal ho

main ne tamam-umr guzari hai dil ke sath

lao mere huzur jo amr-e-muhaal ho

ye soch kar fareb-e-mohabbat mein aa gae

hum itne KHush kahan jo natija malal ho

main jaise ajnabi koi apne dayar mein

tum jaise mere zehn mein koi sawal ho

dil ke muamalat hi yaro ajib hain

apni KHabar nahin hai to kis ka KHayal ho

hum ehtiyat-e-dida-o-dil se guzar chuke

aa jae samne jo KHuda-e-jamal ho

soz-e-gham-e-hayat se 'anjum' gurez kar

loha nahin hai dil jo tapane se lal ho

(2351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho In English By Famous Poet Anjum Fauqi Badayuni. Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho is written by Anjum Fauqi Badayuni. Read famous Poem Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho for youth and Student by Anjum Fauqi Badayuni. Free Download Guzrenge Tere Daur Se Jo Kuchh Bhi Haal Ho in PDF.