Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad

ban gai naz mohabbat talab-e-naz ke baad

aur bhi aise kai raaz hain is raaz ke baad

qadr kya soz-e-tajalli ki sahar saz ke baad

Thahar sakti nahin shabnam meri parwaz ke baad

apni manzil to bana lete hain duniya wale

main kahan jaun teri jalwa-gah-e-naz ke baad

main hi duniya ki sada ban ke nahin hun KHamosh

KHud bhi chup ho gai duniya meri aawaz ke baad

log aaghaz se karte hain talash-e-anjam

main ne anjam na socha kabhi aaghaz ke baad

main gunahgar-e-nasheman hun na paband-e-qafas

fitratan kuchh to sukun chahiye parwaz ke baad

is mohabbat mein hai tauhin-e-mohabbat 'anjum'

wo agar mujh ko pukaren meri aawaz ke baad

(1632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad In English By Famous Poet Anjum Fauqi Badayuni. Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad is written by Anjum Fauqi Badayuni. Read famous Poem Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad for youth and Student by Anjum Fauqi Badayuni. Free Download Ban Gai Naz Mohabbat Talab-e-naz Ke Baad in PDF.