Kis Ka Bhed Kahan Ki Qismat Pagle Kis Janjal Mein Hai

kis ka bhed kahan ki qismat pagle kis janjal mein hai

bazi hai ek sada-kaghaz sara kartab chaal mein hai

ek rahen ya do ho jaen ruswai har haal mein hai

jiwan rup ki sari shobha jiwan ke janjal mein hai

tujh se bichhaD kar tujh se mil kar donon mausam dekh liye

baat jahan thi ab bhi wahin hai farq zara sa haal mein hai

aaKHir upri hamdardi ko rang to ek din lana tha

baat thi pahle chand gharon tak ab duniya bhaunchaal mein hai

tum apni aankhon ki lali phulon mein taqsim karo

mere dil ka haal na puchho rahne do jis haal mein hai

jiwan bhedan ki chinta chhoDo aao kuchh is par baat karen

hum dharti ke phande mein hain dharti kis ke jal mein hai

'anjum' pyar jise kahte hain us ke Dhang nyare hain

chup mein hai sukh chain na koi rahat qil-o-qal mein hai

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ka Bhed Kahan Ki Qismat Pagle Kis Janjal Mein Hai In English By Famous Poet Anjum Fauqi Badayuni. Kis Ka Bhed Kahan Ki Qismat Pagle Kis Janjal Mein Hai is written by Anjum Fauqi Badayuni. Read famous Poem Kis Ka Bhed Kahan Ki Qismat Pagle Kis Janjal Mein Hai for youth and Student by Anjum Fauqi Badayuni. Free Download Kis Ka Bhed Kahan Ki Qismat Pagle Kis Janjal Mein Hai in PDF.