Kis Ne Di Mujhko Sada Kaun-o-makan Ke Us Taraf

kis ne di mujh ko sada kaun-o-makan ke us taraf

muntazir hai kaun mera aasman ke us taraf

jaane kab donon milen aapas mein sayon ki tarah

do musafir chal rahe hain kahkashan ke us taraf

tai kiya main ne safar jaldi ki main jaldi mein tha

rah gaya saya mera donon jahan ke us taraf

ek na ek sar par rahega jitna main uncha gaya

aasman kuchh aur bhi hain aasman ke us taraf

par utrunga to wo mujh ko uTha le jaega

ek sahra KHushk bahr-e-be-karan ke us taraf

koi sargoshi-numa aawaz bhi aati nahin

kitni gahri KHamushi hai la-makan ke us taraf

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ne Di Mujhko Sada Kaun-o-makan Ke Us Taraf In English By Famous Poet Anjum Niyazi. Kis Ne Di Mujhko Sada Kaun-o-makan Ke Us Taraf is written by Anjum Niyazi. Read famous Poem Kis Ne Di Mujhko Sada Kaun-o-makan Ke Us Taraf for youth and Student by Anjum Niyazi. Free Download Kis Ne Di Mujhko Sada Kaun-o-makan Ke Us Taraf in PDF.