Chala Hawas Ke Jahanon Ki Sair Karta Hua

chala hawas ke jahanon ki sair karta hua

main KHali hath KHazanon ki sair karta hua

pukarta hai koi Dubta hua saya

larazte aaina-KHanon ki sair karta hua

bahut udas laga aaj zard-ru mahtab

gali ke band makanon ki sair karta hua

main KHud ko apni hatheli pe le ke phirta raha

KHatar ke surKH nishanon ki sair karta hua

kalam kaisa chaka-chaund ho gaya main to

qadim lahjon zabanon ki sair karta hua

ziyaada dur nahin hun tere zamane se

main aa milunga zamanon ki sair karta hua

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chala Hawas Ke Jahanon Ki Sair Karta Hua In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Chala Hawas Ke Jahanon Ki Sair Karta Hua is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Chala Hawas Ke Jahanon Ki Sair Karta Hua for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Chala Hawas Ke Jahanon Ki Sair Karta Hua in PDF.