Falak-nazhad Sahi Sar-nigun Zamin Pe Tha Main

falak-nazhad sahi sar-nigun zamin pe tha main

jabin KHak pe thi aur meri jabin pe tha main

gundhi paDi thi meri KHak KHal-o-KHad ke baghair

abhi humakta hua chaak-e-awwalin pe tha main

ye tab ki baat hai jab kun nahin kaha gaya tha

kahin kahin pe KHuda tha kahin kahin pe tha main

naya naya main nikala hua tha jannat se

zamin banai gai jin dinon yahin pe tha main

KHuda ka hukm baja bad-gumani apni jagah

ghalat na tha mera inkar is yaqin pe tha main

KHuda ke jhagDe mein aaKHir dimagh haar gaya

ki dil sabaat mein tha aur nahin nahin pe tha main

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak-nazhad Sahi Sar-nigun Zamin Pe Tha Main In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Falak-nazhad Sahi Sar-nigun Zamin Pe Tha Main is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Falak-nazhad Sahi Sar-nigun Zamin Pe Tha Main for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Falak-nazhad Sahi Sar-nigun Zamin Pe Tha Main in PDF.