Jast Bharta Hua Farda Ke Dahane Ki Taraf

jast bharta hua farda ke dahane ki taraf

ja nikalta hun kisi aur zamane ki taraf

aankh bedar hui kaisi ye peshani par

kaisa darwaza khula aaina-KHane ki taraf

KHud hi anjam nikal aaega is waqiye se

ek kirdar rawana hai fasane ki taraf

hal nikalta hai yahi rishton ki mismari ka

log aa jate hain diwar uThane ki taraf

darmiyan tez hawa bhi hai zamana bhi hai

tir to chhoD diya main ne nishane ki taraf

ek bichhDi hui aawaz bulati hai mujhe

waqt ke par se gum-gashta Thikane ki taraf

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jast Bharta Hua Farda Ke Dahane Ki Taraf In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Jast Bharta Hua Farda Ke Dahane Ki Taraf is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Jast Bharta Hua Farda Ke Dahane Ki Taraf for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Jast Bharta Hua Farda Ke Dahane Ki Taraf in PDF.