Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun

umr ki sari thakan lad ke ghar jata hun

raat bistar pe main sota nahin mar jata hun

akasr auqat bhare shahr ke sannaTe mein

is qadar zor se hansta hun ki Dar jata hun

mujh se puchhe to sahi aaina-KHana mera

KHal-o-KHad le ke main hamrah kidhar jata hun

dil Thahar jata hai bhuli hui manzil mein kahin

main kisi dusre raste se guzar jata hun

sahma rahta hun bahut halqa-e-ahbab mein main

chaar diwar mein aate hi bikhar jata hun

mere aane ki KHabar sirf diya rakhta hai

main hawaon ki tarah ho ke guzar jata hun

main ne jo apne KHilaf aap gawahi di hai

wo tere haq mein nahin hai to mukar jata hun

(1429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun in PDF.