Ek Aur Muhabbat

baat sirf itni thi

hum apne farsuda jazbon ke kaTh-kabaD ko bhi

ujle lafzon ke show-cason mein saja kar ham-kalami karte the

jaane kitne jismon ke visal se hote hue

ek dusre ke qarib pahunche the ham!

hamari dhuli-dhulai jholiyon mein jugali kiye hue

boson ki saDand thi

hamare lams KHuda ko chhune ki KHwahish mein maile ho rahe the

hatheliyon ki chingir mein paDe basi duaon ke niwale

hum se nigle na jate the

lahu thokti hui mohabbat hum se bichhaD rahi thi

aur hum munh pher kar use ruKHsat ke do aansuon ka namak

tak na de pa rahe the

rishta, sachcha izhaar mangta tha

aur hamare pas apni rafaqaton ki taziyat ke liye bhi

do lafzon ki taufiq na thi

baat sirf itni thi ki

hamari ruhen ek dusre se muawanat nahin kar pain thin

ya phir shayad

hamare pas ek aur mohabbat ki gunjaish hi nahin thi!

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aur Muhabbat In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Ek Aur Muhabbat is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Ek Aur Muhabbat for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Ek Aur Muhabbat in PDF.