Main Aur Meri Tanhai

hum samundar se milne zara der se pahunche

raat samundar se ziyaada gahri ho rahi thi

hum nange panw sahil ke sath

bahut dur tak chale

dinon ke baad sarshaari ne apna chehra dikhaya tha

aur hamari bhuli hui dhun gungunai thi

samundar hamari KHamoshi mein Dubne hi wala tha

jab hamara git patwar hua

ajnabi qadmon ke nishan chunte hue

KHayal aaya

chahal-qadmi karte hue wo do sae kya hue

ye lahren jin ke panw chura lai hain

tabhi hum ne apne juton mein jhank kar dekha

sahil abhi puri tarah nahin phisla tha

hum ne socha

samundar ko ab so jaana chahiye

raat ki KHunki hamari ragon mein utar chuki thi

jab hum wapsi ke liye muDe

samundar baDi garm-joshi ke sath hamein ruKHsat karne aaya

ghunuda chand raushan hua

aur hamein ghar tak chhoDne ki zid ki

hum ne dabe-panw unghte darwaze par dastak di

jahan udasi der se hamara intizar kar rahi thi!

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aur Meri Tanhai In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Main Aur Meri Tanhai is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Main Aur Meri Tanhai for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Main Aur Meri Tanhai in PDF.