TaKHliq Ki Saaton Mein

kuchh kahun to dam ghuTta hai

aur KHamoshi mujhe andar se kaTti hai

KHayalat par lafzon ke pahnawe

pure nahin aate

kaghazon par dukh utarna bhi to dukh ki baat hai

nazmen mujhe KHali kar deti hain

ye shairi to mujhe uryan kar degi!

main aur kitne chehre pahnun

binai ke jamghaTe mein

bar bar KHud se bichhaD jata hun

so main ne apni yaad-dasht mein ek

tanhai taKHliq ki

taki us mein baiTh kar mujhe KHud ko dohrane

ka mauqa milta rahe

fursat ne mujhe thaka diya tha

shukr hai! main apne kisi kaam to aaya!

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHliq Ki Saaton Mein In English By Famous Poet Anjum Saleemi. TaKHliq Ki Saaton Mein is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem TaKHliq Ki Saaton Mein for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download TaKHliq Ki Saaton Mein in PDF.