Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha

lamha lamha apni zahrili baaton se Dasta tha

wo mera dushman ho kar bhi mere ghar mein basta tha

bap mara to bachche roTi ke TukDe ko taras gae

ek tane se kitni shaKHon ka jiwan wabasta tha

afwahon ke dhuen ne koshish ki hai kalak malne ki

wo bikne ki shai hota to har qimat par sasta tha

ek manzar mein peD the jin par chand kabutar baiThe the

ek bachche ki lash bhi thi jis ke kandhe par basta tha

jis din shahr jala tha us din dhup mein kitni tezi thi

warna is basti par 'anjum' baadal roz barasta tha

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha In English By Famous Poet Anjum Tarazi. Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha is written by Anjum Tarazi. Read famous Poem Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha for youth and Student by Anjum Tarazi. Free Download Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha in PDF.