Aana Bhi Aane Wale Ka Afsana Ho Gaya

aana bhi aane wale ka afsana ho gaya

dushman ke kahne sunne se kya kya na ho gaya

kya faizyab sohbat-e-rindana ho gaya

dam-bhar mein shaiKH saqi-e-mai-KHana ho gaya

sunte hain band phir dar-e-mai-KHana ho gaya

dur ayagh-o-shaghl-e-mul afsana ho gaya

milne ke baad baiTh raha pher kar nigah

zalim yagana hote hi begana ho gaya

apnon se bhi ziyaada jo paya niyaz-mand

wo be-niyaz aur bhi begana ho gaya

na-ashna raha to yagana bana raha

hote hi aashna koi begana ho gaya

mana ki muddai se koi muddaa na tha

phir kya sabab tha tark jo yarana ho gaya

kis tarah apni KHana-KHarabi ayan kare

wo dil jo parde walon ka kashana ho gaya

aane ka wada kar ke wo hanste hue chale

malum abhi se lutf-e-qadimana ho gaya

jaan is dilawari se tere manchale ne di

maqtal mein shor-e-himmat-e-mardana ho gaya

phir bhi sawal-e-wasl ka mauqa nahin mila

sau bar go kalam-e-kalimana ho gaya

wo dil-jala tha main ki teri sham-e-husn par

jal kar nisar surat-e-parwana ho gaya

majnun jo ban gaya kisi laila-ada ka main

phir kya tha najd KHud mera virana ho gaya

gesu banae jaiye aap apne shauq se

ho jaane dijiye jo main diwana ho gaya

pi li 'hijab' hath hi se aaj main ne mai

chullu mera mere liye paimana ho gaya

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aana Bhi Aane Wale Ka Afsana Ho Gaya In English By Famous Poet Anwari Jahan Begum Hijab. Aana Bhi Aane Wale Ka Afsana Ho Gaya is written by Anwari Jahan Begum Hijab. Read famous Poem Aana Bhi Aane Wale Ka Afsana Ho Gaya for youth and Student by Anwari Jahan Begum Hijab. Free Download Aana Bhi Aane Wale Ka Afsana Ho Gaya in PDF.