Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

labon ka KHushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona

ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona

sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona

jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona

ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona

ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein

sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona

wo un ka chupke chupke muskurana KHun rone par

wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona

jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein

to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona

qayamat tha sitam tha qahr tha KHalwat mein o zalim

wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona

sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai

judai mein mera betab be-KHud be-KHabar hona

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona In English By Famous Poet Anwari Jahan Begum Hijab. Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona is written by Anwari Jahan Begum Hijab. Read famous Poem Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona for youth and Student by Anwari Jahan Begum Hijab. Free Download Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona in PDF.