Hum Hain Aur Zabt-e-fughan Hai Aaj-kal

hum hain aur zabt-e-fughan hai aaj-kal

sabr ka phir imtihan hai aaj-kal

hum se ruTha hai to phir kis se hai KHush

kis pe aaKHir mehrban hai aaj-kal

dil bhi pazhmurda hai aankhen muzmahil

yaad bas teri jawan hai aaj-kal

ek wade par miTa di zindagi

hum sa diwana kahan hai aaj-kal

ghir gae hum waqt ke tufan mein

ai gham-e-jaanan kahan hai aaj-kal

multafit gulchin hain na sayyaad KHush

barq bhi na-mehrban hai aaj-kal

ek to mushkil wafa ke marhale

aur phir dushman jahan hai aaj-kal

dil shikasta ek 'afshan hi nahin

kaun hai jo naghma-KHwan hai aaj-kal

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hain Aur Zabt-e-fughan Hai Aaj-kal In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Hum Hain Aur Zabt-e-fughan Hai Aaj-kal is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Hum Hain Aur Zabt-e-fughan Hai Aaj-kal for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Hum Hain Aur Zabt-e-fughan Hai Aaj-kal in PDF.